اردو हिंदी
Naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai | Shaahi Shayari
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai

Ghazal

Naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai

Shakeb Jalali

;

naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
ghaTa mein chand aaya ja raha hai

zamane ki nigahon mein samo kar
mujhe dil se bhulaya ja raha hai

kahan ka jam jab yan zauq-e-masti
nigahon se pilaya ja raha hai

abhi arman kuchh baqi hain dil mein
mujhe phir aazmaya ja raha hai

pila kar phir sharab-e-husn-o-jalwa
mujhe be-KHud banaya ja raha hai

salamat aap ka jaur-e-musalsal
mere dil ko dukhaya ja raha hai

'shakeb' ab wo tasawwur mein na aaen
kaleja munh ko aaya ja raha hai