mashrab mein to durust KHarabaatiyon ke hai
mazhab mein zahidon ke nahin gar rawa shara
Shaikh Zahuruddin Hatim
masjid mein sar paTakta hai to jis ke waste
so to yahan hai dekh idhar aa KHuda-shanas
Shaikh Zahuruddin Hatim
maston ka dil hai shisha aur sang-dil hai saqi
achraj hai jo na TuTe patthar se aabgina
Shaikh Zahuruddin Hatim
mausam-e-gul ka magar qafila jata hai ki aaj
sare ghunchon se jo aawaz-e-jaras aati hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
mazhar-e-haq kab nazar aata hai in shaiKHon ke tain
bas-ki aaine par in aahan-dilon ke zang hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
mazra-e-duniya mein dana hai to Dar kar hath Dal
ek din dena hai tujh ko dane dane ka hisa
Shaikh Zahuruddin Hatim
mera mashuq hai mazon mein bhara
kabhu miTha kabhu salona hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
mere aansu ke pochhne ko miyan
teri ho aastin KHuda na kare
Shaikh Zahuruddin Hatim
mere hawas-e-KHamsa use dekh uD gae
kyun kar Thahar saken ye kabutar the par gire
Shaikh Zahuruddin Hatim