kis tarah pahunchun main apne yar kin punjab mein
ho gaya rahon mein chashmon se do-aba be-tarah
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis tarah se guzar karun rah-e-ishq mein
kaTe hai ab har ek qadam par zamin mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim
kisu mashrab mein aur mazhab mein
zulm ai mehrban nahin hai durust
Shaikh Zahuruddin Hatim
kiya tha din ka wada raat ko aaya to kya shikwa
use bhula nahin kahte jo bhula ghar mein sham aaya
Shaikh Zahuruddin Hatim
koi batlata nahin aalam mein us ke ghar ki rah
marta phirta hun apne sar ko diwaron se aaj
Shaikh Zahuruddin Hatim
koi hai surKH-posh koi zard-posh hai
aa dekh bazm mein ki hui hai bahaar-e-jam
Shaikh Zahuruddin Hatim
kohkan jaan-kani hai mushkil kaam
warna bahtere hain pathar phoDe
Shaikh Zahuruddin Hatim
kya baDa aib hai is jama-e-uryani mein
chaak karne ko kabhi is mein gareban na hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
kya madrase mein dahr ke ulTi hawa bahi
waiz nahi ko amr kahe amr ko nahi
Shaikh Zahuruddin Hatim