hai rah-e-ashiqi tarik aur barik aur sukDi
nahin kuchh kaam aane ki yahan zahid teri lakDi
Shaikh Zahuruddin Hatim
hairan hain apne apne jo dekha so kaam mein
kya naKHuda-shanas yahan kya KHuda-shanas
Shaikh Zahuruddin Hatim
hum bahut dekhe farangistan ke husn-e-sabih
charb hai sab par butan-e-hind ka rang-e-malih
Shaikh Zahuruddin Hatim
hum chhanalon ki chhoD di yari
nafs ko mar kar kya murda
Shaikh Zahuruddin Hatim
hum sin maston ko bas hai teri nigah
subh uTh kar KHumar ki KHati
Shaikh Zahuruddin Hatim
hum teri rah mein jun naqsh-e-qadam baiThe hain
tu taghaful kiye ai yar chala jata hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
hamari aql-e-be-tadbir par tadbir hansti hai
agar tadbir hum karte hain to taqdir hansti hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
hamari guftugu sab se juda hai
hamare sab suKHan hain bankpan ke
Shaikh Zahuruddin Hatim
haq rakhe us ko salamat hind mein
jis se KHush lagta hai hindostan mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim

