kahani hai to itni hai fareb-e-KHwab-e-hasti ki
ki aankhen band hun aur aadmi afsana ho jae
Seemab Akbarabadi
kahani meri rudad-e-jahan malum hoti hai
jo sunta hai usi ki dastan malum hoti hai
Seemab Akbarabadi
KHuda aur naKHuda mil kar Dubo den ye to mumkin hai
meri wajh-e-tabahi sirf tufan ho nahin sakta
Seemab Akbarabadi
KHulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna
wahin kaba sarak aaya jabin hum ne jahan rakh di
Seemab Akbarabadi
kya DhunDhne jaun main kisi ko
apna mujhe KHud pata nahin hai
Seemab Akbarabadi
kyun jam-e-sharab-e-nab mangun
saqi ki nazar mein kya nahin hai
Seemab Akbarabadi
lahu se main ne likha tha jo kuchh diwar-e-zindan par
wo bijli ban ke chamka daman-e-subh-e-gulistan pa
Seemab Akbarabadi
mazi-e-marhum ki nakaamiyon ka zikr chhoD
zindagi ki fursat-e-baqi se koi kaam le
Seemab Akbarabadi