sare chaman ko main to samajhta hun apna ghar
jaise chaman mein mera koi aashiyan bana
Seemab Akbarabadi
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai
Seemab Akbarabadi
pareshan hone walon ko sukun kuchh mil bhi jata hai
pareshan karne walon ki pareshani nahin jati
Seemab Akbarabadi
nashat-e-husn ho josh-e-wafa ho ya gham-e-ishq
hamare dil mein jo aae wo aarzu ho jae
Seemab Akbarabadi
mohabbat mein ek aisa waqt bhi aata hai insan par
sitaron ki chamak se choT lagti hai rag-e-jaan pa
Seemab Akbarabadi
meri KHamoshiyon par duniya mujh ko tan deti hai
ye kya jaane ki chup rah kar bhi ki jati hain taqriren
Seemab Akbarabadi
meri diwangi par hosh wale bahs farmaen
magar pahle unhen diwana banne ki zarurat hai
Seemab Akbarabadi
markaz pe apne dhup simaTti hai jis tarah
yun rafta rafta tere qarib aa raha hun main
Seemab Akbarabadi
manzil mili murad mili muddaa mila
sab kuchh mujhe mila jo tera naqsh-e-pa mila
destination and desire and my ends attained
i got everything when your footprints I obtained
Seemab Akbarabadi

