wo aaina ho ya ho phul tara ho ki paimana
kahin jo kuchh bhi TuTa main yahi samjha mera dil hai
Seemab Akbarabadi
wo duniya thi jahan tum band karte the zaban meri
ye mahshar hai yahan sunni paDegi dastan meri
Seemab Akbarabadi
ye meri tira-nasibi ye sadgi ye fareb
giri jo barq main samjha charagh-e-KHana mila
Seemab Akbarabadi
ye sharab-e-ishq ai 'simab' hai pine ki chiz
tund bhi hai bad-maza bhi hai magar iksir hai
Seemab Akbarabadi
hai husul-e-arzu ka raaz tark-e-arzu
main ne duniya chhoD di to mil gai duniya mujhe
Seemab Akbarabadi
arhaman kahta tha barham shaiKH bol uTha ahad
harf ke ek pher se donon mein jhagDa ho gaya
Seemab Akbarabadi
ut karen aarzu KHudai ki
shan teri hai kibriyai ki
Seemab Akbarabadi
chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai
the glow of fireflies appears as lightning heaven sent
the value of freedom is felt, during imprisonment
Seemab Akbarabadi
dekhte hi dekhte duniya se main uTh jaunga
dekhti ki dekhti rah jaegi duniya mujhe
Seemab Akbarabadi