dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqa tera
kabhi aati hai hawa bhi to chhupa lete hain
Seemab Akbarabadi
dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
ek aaina tha TuT gaya dekh-bhaal mein
Seemab Akbarabadi
dil-e-afat-zada ka muddaa kya
shikasta saz kya us ki sada kya
Seemab Akbarabadi
duniya hai KHwab hasil-e-duniya KHayal hai
insan KHwab dekh raha hai KHayal mein
Seemab Akbarabadi
gunahon par wahi insan ko majbur karti hai
jo ek be-nam si fani si lazzat hai gunahon mein
Seemab Akbarabadi
hae 'simab' us ki majburi
jis ne ki ho shabab mein tauba
Seemab Akbarabadi
ab wahan daman-kashi ki fikr daman-gir hai
ye mere KHwab-e-mohabbat ki nai tabir hai
Seemab Akbarabadi
husn mein jab naz shamil ho gaya
ek paida aur qatil ho gaya
Seemab Akbarabadi
jab dil pe chha rahi hon ghaTaen malal ki
us waqt apne dil ki taraf muskura ke dekh
Seemab Akbarabadi