اردو हिंदी
Dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein | Shaahi Shayari
dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein

Ghazal

Dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein

Seemab Akbarabadi

;

dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
ek aaina tha TuT gaya dekh-bhaal mein

duniya kare talash naya jam-e-jam koi
us ki jagah nahin mere jam-e-sifal mein

aazurda is qadar hun sarab-e-KHayal se
ji chahta hai tum bhi na aao KHayal mein

duniya hai KHwab hasil-e-duniya KHayal hai
insan KHwab dekh raha hai KHayal mein

ahl-e-chaman hamein na asiron ka tan den
wo KHush hain apne haal mein aham apni chaal mein

'simab' ijtihad hai husn-e-talab mera
tarmim chahta hun mazaq-e-jamal mein