اردو हिंदी
Ab kya bataun main tere milne se kya mila | Shaahi Shayari
ab kya bataun main tere milne se kya mila

Ghazal

Ab kya bataun main tere milne se kya mila

Seemab Akbarabadi

;

ab kya bataun main tere milne se kya mila
irfan-e-gham hua mujhe apna pata mila

jab dur tak na koi faqir-ashna mila
tera niyaz-mand tere dar se ja mila

manzil mili murad mili muddaa mila
sab kuchh mujhe mila jo tera naqsh-e-pa mila

KHud-bin-o-KHud-shanas mila KHud-numa mila
insan ke bhes mein mujhe aksar KHuda mila

sargashta-e-jamal ki hairaniyan na puchh
har zarre ke hijab mein ek aaina mila

paya tujhe hudud-e-tayyun se mawara
manzil se kuchh nikal ke tera rasta mila

kyun ye KHuda ke DhunDne wale hain na-murad
guzra main jab hudud-e-KHudi se KHuda mila

ye ek hi to neamat-e-insan-nawaz thi
dil mujh ko mill gaya to KHudai ko kya mila

ya zaKHm-e-dil ko chhil ke sine se phenk de
ya e'tiraf kar ki nishan-e-wafa mila

'simab' ko shagufta na dekha tamam umr
kam-baKHt jab mila hamein gham-ashna mila