اردو हिंदी
Saleem Kausar Shayari | Shaahi Shayari

Saleem Kausar Shers

48 Shers

kuchh is tarah se wo shamil hua kahani mein
ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua

Saleem Kausar




kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq
ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya

Saleem Kausar


Tags: | 2 Lines Shayari |


main jaanta hun makinon ki KHamushi ka sabab
makan se pahle dar-o-baam se mila hun main

Saleem Kausar