waqt ruk ruk ke jinhen dekhta rahta hai 'salim'
ye kabhi waqt ki raftar hua karte the
Saleem Kausar
wo jin ke naqsh-e-qadam dekhne mein aate hain
ab aise log to kam dekhne mein aate hain
Saleem Kausar
yaad ka zaKHm bhi hum tujh ko nahin de sakte
dekh kis aalam-e-ghurbat mein mile hain tujh se
Saleem Kausar
ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo
bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai
Saleem Kausar
ye log ishq mein sachche nahin hain warna hijr
na ibtida na kahin intiha mein aata hai
Saleem Kausar
zoron pe 'salim' ab ke hai nafrat ka bahaw
jo bach ke nikal aaega tairak wahi hai
Saleem Kausar
ek taraf tere husn ki hairat ek taraf duniya
aur duniya mein der talak Thahra nahin ja sakta
Saleem Kausar
ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yani
ek dariya mein dusri bar utra nahin ja sakta
Saleem Kausar
abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega
ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega
Saleem Kausar