aaina KHud bhi sanwarta tha hamari KHatir
hum tere waste tayyar hua karte the
Saleem Kausar
hum ne to KHud se intiqam liya
tum ne kya soch kar mohabbat ki
Saleem Kausar
intizar aur dastakon ke darmiyan kaTti hai umr
itni aasani se to bab-e-hunar khulta nahin
Saleem Kausar
jo meri riyazat-e-nim-shab ko 'salim' subh na mil saki
to phir is ke mani to ye hue ki yahan KHuda koi aur hai
if for my midnight prayers, Saliim, a dawn there shall never be
then it means that in this world there is a God other than thee
Saleem Kausar
judai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jati
jo hum ek dusre se masala tabdil kar lete
Saleem Kausar
kabhi ishq karo aur phir dekho is aag mein jalte rahne se
kabhi dil par aanch nahin aati kabhi rang KHarab nahin hota
Saleem Kausar
kahani likhte hue dastan sunate hue
wo so gaya hai mujhe KHwab se jagate hue
Saleem Kausar
kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujh se
hum bhare shahr ki KHalwat mein mile hain tujh se
Saleem Kausar
KHamosh sahi markazi kirdar to hum the
phir kaise bhala teri kahani se nikalte
Saleem Kausar