dekhte kuchh hain dikhate hamein kuchh hain ki yahan
koi rishta hi nahin KHwab ka tabir ke sath
Saleem Kausar
aaina KHud bhi sanwarta tha hamari KHatir
hum tere waste tayyar hua karte the
Saleem Kausar
hala wo husn kis ki dastaras mein aa saka hai
ki sari umr bhi likkhen maqala kam rahega
Saleem Kausar
ahut dinon mein kahin hijr-e-mah-o-sal ke baad
ruka hua hai zamana tere visal ke baad
Saleem Kausar
aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi
hum apni rae ka izhaar karna chahte hain
Saleem Kausar
ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin
jo yahan aabaad hain un par bhi ghar khulta nahin
Saleem Kausar
ai mere chaaragar tere bas mein nahin moamla
surat-e-haal ke liye waqif-e-haal chahiye
Saleem Kausar
ahl-e-KHirad ko aaj bhi apne yaqin ke liye
jis ki misal hi nahin us ki misal chahiye
Saleem Kausar
abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega
ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega
Saleem Kausar