irad kar na paDh ke mera KHat ki ye tamam
be-rabtiyan hain samra-e-hangam-e-ishtiyaq
Qayem Chandpuri
hona tha zindagi hi mein munh shaiKH ka siyah
is umr mein hai warna maza kya KHizab ka
Qayem Chandpuri
har uzw hai dil-fareb tera
kahiye kise kaun sa hai behta
Qayem Chandpuri
har taraf zarf-e-wazu bharte hain zahid hui subh
sath uTh hum bhi surahi mein mai-e-nab karen
Qayem Chandpuri
har dam aane se main bhi hun nadim
kya karun par raha nahin jata
Qayem Chandpuri
hum diwanon ko bas hai poshish se
daman-e-dasht o chadar-e-mahta
Qayem Chandpuri
hathon se dil o dida ke aaya hun nipaT tang
aankhon ko roun ya main karun sarzanish-e-dil
Qayem Chandpuri