sunai deti hai sat aasman mein gunj apni
tujhe pukar ke hairan uDte phirte hain
Nomaan Shauque
suna hai shor se hal honge sare masale ek din
so hum aawaz ko aawaz se Takraate rahte hain
Nomaan Shauque
sair-e-duniya ko jate ho jao
hai koi shahr mere dil jaisa
Nomaan Shauque
sab jahangir niyamon se nikal aaenge
ab to zanjir hilate hue Darta hun main
Nomaan Shauque
sare chaqmaq-badan aae the tayyari se
raushni KHub hui raat ki chingari se
Nomaan Shauque
uh ki thap na roko ki qayamat hogi
tum ko malum nahin kaun kahan raqs mein hai
Nomaan Shauque
ok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
Nomaan Shauque
as tere aane ki ek afwah ka aisa asar
kaise kaise log the bimar achchhe ho gae
Nomaan Shauque
falak ka thaal hi hum ne ulaT Dala zamin par
tumhaari tarh ka koi sitara DhunDne mein
Nomaan Shauque