meri KHushiyon se wo rishta hai tumhaara ab tak
id ho jae agar id-mubarak kah do
Nomaan Shauque
mausam-e-wajd mein ja kar main kahan raqs karun
apni duniya meri wahshat ke barabar kar de
Nomaan Shauque
main KHanqah-e-badan se udas lauT aaya
yahan bhi chahne walon mein KHak baTti hai
Nomaan Shauque
main apne sae mein baiTha tha kitni sadiyon se
tumhaari dhup ne diwar toD di meri
Nomaan Shauque
main agar tum ko mila sakta hun mahr-o-mah se
apne likkhe par siyahi bhi chhiDak sakta hun main
Nomaan Shauque
lipTa bhi ek bar to kis ehtiyat se
aaise ki sara jism moattar na ho sake
Nomaan Shauque
kuchh na tha mere pas khone ko
tum mile ho to Dar gaya hun main
Nomaan Shauque
koi samjhae mere maddah ko
taliyon se bhi bikhar sakta hun main
Nomaan Shauque
kisi ke sae kisi ki taraf lapakte hue
naha ke raushniyon mein lage bahakte hue
Nomaan Shauque