aaine ka samna achchha nahin hai bar bar
ek din apni hi aankhon mein khaTak sakta hun main
Nomaan Shauque
aankh khul jae to ghar matam-kada ban jaega
chal rahi hai sans jab tak chal raha hun nind mein
Nomaan Shauque
aap ki sada-dili se tang aa jata hun main
mere dil mein rah chuke hain is qadar hushyar log
Nomaan Shauque
aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum
ek majme ke liye sher sunate hue hum
Nomaan Shauque
ab ise gharqab karne ka hunar bhi sikh lun
is shikare ko agar phulon se Dhak sakta hun main
Nomaan Shauque
aisi hi ek shab mein kisi se mila tha dil
barish ke sath sath barasti hai raushni
Nomaan Shauque
apni aahaT pe chaunkta hun main
kis ki duniya mein aa gaya hun main
Nomaan Shauque
aur mat dekhiye ab adl-e-jahangir ke KHwab
aur kuchh kijiye zanjir hilane ke siwa
Nomaan Shauque
aDe gharon mein rahi hai bahut zamane tak
KHushi ka ji nahin lagta gharib-KHane mein
Nomaan Shauque