o ro ke log kahte the jati rahegi aankh
aisa nahin hua, meri binai baDh gai
Nomaan Shauque
mera kuchh raste mein kho gaya hai
achanak chalte chalte ruk gaya hun
Nomaan Shauque
mohabbat wale hain kitne zamin par
akela chand hi be-nur hai kya
Nomaan Shauque
mujh ko bhi pahle-pahal achchhe lage the ye gulab
Tahniyan jhukti huin aur titliyan uDti huin
Nomaan Shauque
nam hi le le tumhaara koi
donon hathon se lutaun KHud ko
Nomaan Shauque
nam se us ke pukarun KHud ko
aaj hairan hi kar dun KHud ko
Nomaan Shauque
panw ke niche se pahle khinch li sari zamin
pyar se phir nam mera shah-e-alam rakh diya
Nomaan Shauque
pahante KHak hain KHak oDhte bichhate hain
hamari rae bhi li jae KHush-libasi pa
Nomaan Shauque
phir is mazaq ko jamhuriyat ka nam diya
hamein Darane lage wo hamari taqat se
Nomaan Shauque