kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gai
aao kahin sharab piyen raat ho gai
Nida Fazli
koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke baad thoDa muqaddar talash ka
Nida Fazli
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
Nida Fazli
kisi ke waste rahen kahan badalti hain
tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo
Nida Fazli
kis se puchhun ki kahan gum hun kai barson se
har jagah DhunDhta phirta hai mujhe ghar mera
Nida Fazli
KHush-haal ghar sharif tabiat sabhi ka dost
wo shaKHs tha ziyaada magar aadmi tha kam
Nida Fazli
KHuda ke hath mein mat saunp sare kaamon ko
badalte waqt pe kuchh apna iKHtiyar bhi rakh
Nida Fazli
KHatre ke nishanat abhi dur hain lekin
sailab kinaron pe machalne to lage hain
Nida Fazli
kahta hai koi kuchh to samajhta hai koi kuchh
lafzon se juda ho gae lafzon ke maani
Nida Fazli