achchon ke chhoTe hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben paDh kar ye bhi hum jaise ho jaenge
let the hands of innocents reach out for stars and moon
with education they'd become like us so very soon
Nida Fazli
achcha bola dekh kar masjid aali-shan
allah tere ek ko itna baDa makan
Nida Fazli
agh mein jaane ke aadab hua karte hain
kisi titli ko na phulon se uDaya jae
Nida Fazli
aDe baDe gham khaDe hue the rasta roke rahon mein
chhoTi chhoTi KHushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya
Nida Fazli
apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
ruKH hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Nida Fazli
apne lahje ki hifazat kijiye
sher ho jate hain na-malum bhi
Nida Fazli
ab kisi se bhi shikayat na rahi
jaane kis kis se gila tha pahle
Nida Fazli
hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi
aur wo samjhe nahin ye KHamushi kya chiz hai
Nida Fazli
jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
bachchon ke school mein shayad tum se mili nahin hai duniya
Nida Fazli