hamare aib mein jis se madad mile hum ko
hamein hai aaj kal aise kisi hunar ki talash
Natiq Gulavthi
hamein jo yaad hai hum to usi se kaam lete hain
kisi ka nam lena ho usi ka nam lete hain
Natiq Gulavthi
hamein kam-baKHt ehsas-e-KHudi us dar pe le baiTha
hum uTh jate to wo parda bhi uTh jata jo hail tha
Natiq Gulavthi
hichkiyon par ho raha hai zindagi ka rag KHatm
jhaTke de kar tar toDe ja rahe hain saz ke
Natiq Gulavthi
ho gai aawaragardi be-ghari ki parda-dar
kaam jitna hum ko aata tha wo kaam aa hi gaya
Natiq Gulavthi
ek harf-e-shikayat par kyun ruTh ke jate ho
jaane do gae shikwe aa jao main baz aaya
Natiq Gulavthi
intizam-e-roz-e-ishrat aur kar ai na-murad
id aati hi rahi mah-e-siyam aa hi gaya
Natiq Gulavthi
is KHak-dan-e-dahr mein ghuTta agar hai dam
maqdur ho to aag laga de hawa na mang
Natiq Gulavthi
ji churane ki nahin shart dil-e-zar yahan
ranj uThane hi ki Thahri hai to phir dil se uTha
Natiq Gulavthi