majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
wo KHak uData hai lekin nahin dil maila
Natiq Gulavthi
mere sine mein nahin hai to ye samjho ki na tha
puchhte kya ho jo hota to yahin dil hota
Natiq Gulavthi
mil gae tum hath uTha kar mujh ko sab kuchh mil gaya
aaj to ghar luT lai hai dua tasir ki
Natiq Gulavthi
mile murad hamari magar mile bhi kahin
KHuda kare magar aisa KHuda nahin karta
Natiq Gulavthi
mujh ko malum hua ab ki zamana tum ho
mil gai rah-e-sukun gardish-e-dauran ke qari
Natiq Gulavthi
mujh se naraaz hain jo log wo KHush hain un se
main juda chiz hun 'natiq' mere ashaar juda
Natiq Gulavthi
na mai-kashi na ibaadat hamari aadat hai
ki samne koi kaam aa gaya to kar lena
Natiq Gulavthi
naz udhar dil ko uDa lene ki ghaton mein raha
main idhar chashm-e-suKHan-go teri baaton mein raha
Natiq Gulavthi
nazar aata nahin ab ghar mein wo bhi uf re tanhai
ek aaine mein pahle aadmi tha meri surat ka
Natiq Gulavthi