tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe
ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda
Natiq Gulavthi
tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke sath
main wo bura ki kisi ka bura nahin karta
Natiq Gulavthi
tumhaari baat ka itna hai e'tibar hamein
ki ek baat nahin e'tibar ke qabil
Natiq Gulavthi
umr bhar ka sath miTTi mein mila
hum chale ai jism-e-be-jaan al-widaa
Natiq Gulavthi
use pa-ba-gil na rakhta jo KHayal-e-tira-baKHti
jise zarra kah rahe ho yahi ek sharar hota
Natiq Gulavthi
wafa par naz hum ko un ko apni bewafai par
koi munh aaine mein dekhta hai koi pani mein
Natiq Gulavthi
wahan se le gai nakaam badbaKHton ko KHud-kaami
jahan chashm-e-karam se KHud-ba-KHud kuchh kaam hona tha
Natiq Gulavthi
ye KHuda ki shan to dekhiye ki KHuda ka nam hi rah gaya
mujhe taza yaad-e-butan hui jo haram se shor-e-azan uTha
Natiq Gulavthi
zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha
kuchh kyun na tha jahan mein kuchh to zarur tha
Natiq Gulavthi