KHatm karna chahta hun pech-o-tab-e-zindagi
yaad-e-gesu zor-e-bazu ban mere shane mein aa
Natiq Gulavthi
kho diya shohrat ne apni sher-KHwani ka maza
dad mil jati hai 'natiq' har ratab yabis ke baad
Natiq Gulavthi
kijiye kar-e-KHair mein hajat-e-istiKHara kya
kijiye shaghl-e-mai-kashi is mein kisi ki rae kyun
Natiq Gulavthi
kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna
waqt ki ye baaten hain waqt ab kahan apna
Natiq Gulavthi
kuchh nahin achchha to duniya mein bura bhi kuchh nahin
kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh ka
Natiq Gulavthi
kya irade hain wahshat-e-dil ke
kis se milna hai KHak mein mil ke
Natiq Gulavthi
kya karun ai dil-e-mayus zara ye to bata
kya kiya karte hain sadmon se hirasan ho ka
Natiq Gulavthi
lo junun ki sawari aa pahunchi
mere daman pe chal raha hai chaak
Natiq Gulavthi
mai ko mere surur se hasil surur tha
main tha nashe mein chur nasha mujh mein chur tha
Natiq Gulavthi