jo bala aati hai aati hai bala ki 'natiq'
meri mushkil ka tariqa nahin aasan hona
Natiq Gulavthi
jurat-afza-e-sawal ai zahe andaz-e-jawab
aati jati hai ab is but ki nahin han ke qari
Natiq Gulavthi
kahne wale wo sunne wala main
ek bhi aaj dusra na hua
Natiq Gulavthi
kaifiyat-e-tazad agar ho na bayan-e-sher mein
'natiq' isi pe roe kyun chang-nawaz gae kyun
Natiq Gulavthi
kar murattab kuchh nae andaz se apna bayan
marne wale zindagi chahe to afsane mein aa
Natiq Gulavthi
kashti hai ghaT par tu chale kyun na dur aaj
kal bas chale chale na chale chal uTha to la
Natiq Gulavthi
kaun is rang se jame se hua tha bahar
kis se sikha teri talwar ne uryan hona
Natiq Gulavthi
kha gai ahl-e-hawas ki waza ahl-e-ishq ko
baat kis ki rah gai koi adu sachcha na hum
Natiq Gulavthi
khaiye ye zahar kab tak khae jati hai ye zist
ai ajal kab tak rahenge rahn-e-ab-o-dana hum
Natiq Gulavthi