asm-e-talab mein kya hai samajh kar uTha qadam
aa tujh ko hum bataen ki kya mang kya na mang
Natiq Gulavthi
iya-kari ke sajde shaiKH le baiThenge masjid ko
kisi din dekhna ho kar rahegi sar-nigun wo bhi
Natiq Gulavthi
sab ko ye shikayat hai ki hansta nahin 'natiq'
hum ko ye tajjub ki wo giryan nahin hota
Natiq Gulavthi
sab kuchh mujhe mushkil hai na puchho meri mushkil
aasan bhi ho kaam to aasan nahin hota
Natiq Gulavthi
sar se dayar-e-gham ke sanichar utar de
mangal hai jis mein ja ke wo jangal uTha to la
Natiq Gulavthi
shaiKH jaza-e-kar-e-KHair jo bata raha hai aaj
baat to KHub hai magar aadmi mo'atabar nahin
Natiq Gulavthi
subh-e-piri mein phira sham-e-jawani ka gaya
dil hai wo subh ka bhaTka jo sar-e-sham mila
Natiq Gulavthi
tariq-e-dilbari kafi nahin har-dil-azizi ko
saliqa banda-parwar chahiye banda-nawazi ka
Natiq Gulavthi
to hamein kahta hai diwana ko diwane sahi
pand-go aaKHir tujhe ab kya kahen diwana hum
Natiq Gulavthi