paband-e-dair ho ke bhi bhule nahin hain ghar
masjid mein ja nikalte hain chori-chhupi se hum
Natiq Gulavthi
umr bhar ka sath miTTi mein mila
hum chale ai jism-e-be-jaan al-widaa
Natiq Gulavthi
subh-e-piri mein phira sham-e-jawani ka gaya
dil hai wo subh ka bhaTka jo sar-e-sham mila
Natiq Gulavthi
tariq-e-dilbari kafi nahin har-dil-azizi ko
saliqa banda-parwar chahiye banda-nawazi ka
Natiq Gulavthi
to hamein kahta hai diwana ko diwane sahi
pand-go aaKHir tujhe ab kya kahen diwana hum
Natiq Gulavthi
tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe
ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda
Natiq Gulavthi
tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke sath
main wo bura ki kisi ka bura nahin karta
Natiq Gulavthi
tumhaari baat ka itna hai e'tibar hamein
ki ek baat nahin e'tibar ke qabil
Natiq Gulavthi
zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha
kuchh kyun na tha jahan mein kuchh to zarur tha
Natiq Gulavthi