ahl-e-junun pe zulm hai pabandi-e-rusum
jada hamare waste kanTa hai rah ka
Natiq Gulavthi
aa ke bazm-e-hasti mein kya bataen kya paya
hum ko tha hi kya lena but mile KHuda paya
Natiq Gulavthi
ab kahan guftugu mohabbat ki
aisi baaten hue zamana hua
Natiq Gulavthi
ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna
uD gae dhuen apne rah gaya dhuan apna
Natiq Gulavthi
ab gardish-e-dauran ko le aate hain qabu mein
hum daur chalate hain saqi se kaho mai la
Natiq Gulavthi
aati hai yaad subh-e-masarrat ki bar bar
KHurshid aate aate use kal uTha to la
Natiq Gulavthi
aalam-e-kaun-o-makan nam hai virane ka
pas wahshat nahin ghar dur hai diwane ka
Natiq Gulavthi
aaKHir ko rahbar ne Thikane laga diya
KHud apni rah li mujhe rasta bata diya
Natiq Gulavthi
aai hogi to maut aaegi
tum to jao mera KHuda hafiz
Natiq Gulavthi