mohabbat qadr-dan hoti to phir kahe ka rona tha
hamein bhi tum samajhte tum ko jaisa hum samajhte hain
Muztar Khairabadi
musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne mar Dala
all these worldly troubles and longevity
blessings of the elders is the death of me
Muztar Khairabadi
na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun
I'm not the light of any eye, for me none has a care
no use to anyone am I, dust merely scattered there
Muztar Khairabadi
na ro itna parae waste ai dida-e-giryan
kisi ka kuchh nahin jata teri binai jati hai
Muztar Khairabadi
na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye hi aTki
hawa se mera bigaD kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai
Muztar Khairabadi
nahin hun main to teri bandagi ke kya mani
nahin hai tu to KHuda kaun hai zamane ka
Muztar Khairabadi
nahin manzur jab milna to wade ki zarurat kya
ye tum ko jhuTi-muTi aadat-e-iqrar kaisi hai
Muztar Khairabadi
namak-pash zaKHm-e-jigar ab to aa ja
mera dil bahut be-maza ho raha hai
Muztar Khairabadi
nazar ke samne kaba bhi hai kalisa bhi
yahi to waqt hai taqdir aazmane ka
Muztar Khairabadi