meri hasti se to achchhi hain hawaen yarab
ki jo aazad phira karti hain maidanon mein
Muztar Khairabadi
mera rona hansi-ThaTTha nahin hai
zara roke raho apni hansi tum
Muztar Khairabadi
mere dal ne jhaTke uThae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho
kaleje ki choTon ko main kya bataun ye chhati pe lahrane walon se puchho
Muztar Khairabadi
mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe
whether my sins are greater of your mercy pray?
My lord take account and tell me this today
Muztar Khairabadi
mere un ke talluq par koi ab kuchh nahin kahta
KHuda ka shukr sab ke munh mein tale paDte jate hain
Muztar Khairabadi
miyan-e-hashr ye kafir baDe itrae phirte hain
maza aa jae aise mein agar san le KHuda meri
Muztar Khairabadi
mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de
KHuda mera KHuda hai ya ye murat hai KHuda meri
Muztar Khairabadi
mohabbat ka asar phir dekhna marne to do mujh ko
wo mere sath zinda dafn ho jaen ajab kya hai
Muztar Khairabadi
mohabbat mein kisi ne sar paTakne ka sabab puchha
to kah dunga ki apni mushkilen aasan karta hun
Muztar Khairabadi