saqi wo KHas taur ki talim de mujhe
us mai-kade mein jaun to pir-e-mughan rahun
Muztar Khairabadi
sadma but-e-kafir ki mohabbat ka na puchho
ye choT to kabe hi ke patthar se lagi hai
Muztar Khairabadi
subh tak kaun jiyega shab-e-tanhai mein
dil-e-nadan tujhe ummid-e-sahar hai bhi to kya
Muztar Khairabadi
sunoge haal jo mera to dad kya doge
yahi kahoge ki jhuTa hai tu zamane ka
Muztar Khairabadi
surat to ek hi thi do ghar hue to kya hai
dair-o-haram ki babat jhagDe fuzul Dale
Muztar Khairabadi
taDap hi taDap rah gai sirf baqi
ye kya le liya mere pahlu se tu ne
Muztar Khairabadi
tamanna ek tarah ki jaan hai jo marte dam nikle
judai ek tarah ki maut hai jo jite-ji aae
Muztar Khairabadi
tariq yaad hai pahle se dil lagane ka
usi ka main bhi hun majnun tha jis gharane ka
Muztar Khairabadi
tariq yaad hai pahle se dil lagane ka
usi ka main bhi hun majnun tha jis gharane ka
Muztar Khairabadi