kufr-o-islam ne maqsad ko pahunchne na diya
kaba-o-dair ko sang-e-rah-e-manzil samjha
Muneer Shikohabadi
kya maza parda-e-wahdat mein hai khulta nahin haal
aap KHalwat mein ye farmaiye kya karte hain
Muneer Shikohabadi
lag gai aag aatish-e-ruKH se naqab-e-yar mein
dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka
Muneer Shikohabadi
lagain tak ke us mast ne jo talwaren
dahan-e-zaKHm-e-badan se bhi aae bu-e-shara
Muneer Shikohabadi
leTe jo sath hath laga bosa-e-dahan
aaya amal mein ilm-e-nihani palang pa
Muneer Shikohabadi
main justuju se kufr mein pahuncha KHuda ke pas
kabe tak in buton ka mujhe nam le gaya
Muneer Shikohabadi
main kya dikhai deti nahin bulbulon ko bhi
pahne to aise mil gae tere badan mein phul
Muneer Shikohabadi
malte hain KHub-ru tere KHeme se chhatiyan
angiya ki Doriyan hain muqarrar qanat mein
Muneer Shikohabadi
maston mein phuT paD gai aate hi yar ke
laDta hai aaj shishe se shisha sharab ka
Muneer Shikohabadi