jhuTi baaton ki tajalli nazar aae aise
subh-e-kazib ki safedi phire dalanon mein
Muneer Shikohabadi
jis roz main ginta hun tere aane ki ghaDiyan
suraj ko bana deti hai sone ki ghaDi baat
Muneer Shikohabadi
kabe se mujh ko lai sawad-e-kunisht mein
islah di buton ne KHat-e-sar-nawisht mein
Muneer Shikohabadi
kab pan raqibon ko inayat nahin hote
kis roz mere qatl ka beDa nahin uThta
Muneer Shikohabadi
kabhi payam na bheja buton ne mere pas
KHuda hain kaise ki paighambar nahin rakhte
Muneer Shikohabadi
kahte hain sab dekh kar betab mera uzw uzw
aadmi ab tak nahin dekha kahin simab ka
Muneer Shikohabadi
karta raha lughat ki tahqiq umr bhar
aamal-nama nusKHa-e-farhang ho gaya
Muneer Shikohabadi
karte hain masjidon mein shikwa-e-mastaan zahid
yani aankhon ka bhawon se ye gila karte hain
Muneer Shikohabadi
KHaksaron mein nahin aisi kisi ki tauqir
qadd-e-adam meri tazim ko saya uTTha
Muneer Shikohabadi