arhaman kabe mein aaya shaiKH pahuncha dair mein
log be-wahdat hue hain teri kasrat dekh ka
Muneer Shikohabadi
aankhen KHuda ne baKHshi hain rone ke waste
do kashtiyan mili hain Dubone ke waste
Muneer Shikohabadi
ai rashk-e-mah raat ko muTThi na kholna
mehdi ka chor hath se jae na chhuT ke
Muneer Shikohabadi
ai but ye hai namaz ki hai ghat qatl ki
niyyat ada ki hai ki ishaare qaza ke hain
Muneer Shikohabadi
ab ke bahaar-e-husn-e-butan hai kamal par
naqus ho na jae kaf-e-barhaman mein phul
Muneer Shikohabadi
aate nahin hain dida-giryan ke samne
baadal bhi karte hain meri barsat ka lihaz
Muneer Shikohabadi
aastin-e-sabr se bahar na niklega agar
hogi dast-e-ghaib ki surat hamare hath mein
Muneer Shikohabadi
aashiq bana ke hum ko jalate hain shama-ru
parwana chahiye unhen parwana chahiye
Muneer Shikohabadi
aankhon mein nahin silsial-e-ashk shab-o-roz
tasbih paDha karte hain din raat tumhaari
Muneer Shikohabadi