us but ke nahane se hua saf ye pani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya
Muneer Shikohabadi
uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachha
suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari
Muneer Shikohabadi
tere kuche se juda rote hain shab ko aashiq
aaj-kal barish-e-shabnam hai chaman se baha
Muneer Shikohabadi
teri furqat mein sharab-e-aish ka toDa hua
jam-e-mai dast-e-subu ke waste phoDa hua
Muneer Shikohabadi
tegh-e-abru ke mujhe zaKHm-kuhan yaad aae
mah-e-nau ko bhi main talwar purani samjha
Muneer Shikohabadi
saKHti-e-dahr hue bahr-e-suKHan mein aasan
qafiye aae jo patthar ke main pani samjha
Muneer Shikohabadi
sadme se baal shisha-e-gardun mein paD gaya
tum ne dikhai koThe par apni kamar kise
Muneer Shikohabadi
sabr kab tak rah paida ho ki ai dil jaan jae
ek Takkar mar kar sar phoD ya diwar toD
Muneer Shikohabadi
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein
bint-ul-anab se karne laga shoKHiyan basant
Muneer Shikohabadi