silsila gabru musalman ki adawat ka miTa
ai pari be-parda ho kar subha-e-zunnar toD
Muneer Shikohabadi
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-ashiqan
wo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
Muneer Shikohabadi
surKHi shafaq ki zard ho galon ke samne
pani bhare ghaTa tere baalon ke samne
Muneer Shikohabadi
tarif roz lete ho apne ghurur ki
mujh ko barahman-e-but-e-pindar kar diya
Muneer Shikohabadi
tegh-e-abru ke mujhe zaKHm-kuhan yaad aae
mah-e-nau ko bhi main talwar purani samjha
Muneer Shikohabadi
teri furqat mein sharab-e-aish ka toDa hua
jam-e-mai dast-e-subu ke waste phoDa hua
Muneer Shikohabadi
tere kuche se juda rote hain shab ko aashiq
aaj-kal barish-e-shabnam hai chaman se baha
Muneer Shikohabadi
uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachha
suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari
Muneer Shikohabadi
us but ke nahane se hua saf ye pani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya
Muneer Shikohabadi