duniya ko din din ko duniya karenge hum
tere banenge hum tujhe apna karenge hum
Manzar Lakhnavi
aap ki yaad mein roun bhi na main raaton ko
hun to majbur magar itna bhi majbur nahin
Manzar Lakhnavi
ek neamat tere mahjur ke hath aai hai
id ka chand charagh-e-shab-e-tanhai hai
Manzar Lakhnavi
gham mein kuchh gham ka mashghala kije
dard ki dard se dawa kije
Manzar Lakhnavi
ghar ko chhoDa hai KHuda jaane kahan jaane ko
ab samajh lijiye TuTa hua tara mujh ko
Manzar Lakhnavi
gulon se khel rahe hain nasim ke jhonke
qafas mein baiTha hua hath mal raha hun main
Manzar Lakhnavi
ghussa qatil ka na baDhta hai na kam hota hai
ek sar hai ki wo har rose qalam hota hai
Manzar Lakhnavi
hansi aane ki baat hai hans raha hun
mujhe log diwana farma rahe hain
Manzar Lakhnavi
hain sau tariqe aur bhi ai be-qarar dil
izhaar-e-shikwa shikwe ke andaz mein na ho
Manzar Lakhnavi