mera beDi pahanna tha ki duniya ki hawa badli
zamane ki bahaaren phaT paDin aa ke gulistan pa
Manzar Lakhnavi
marg-e-ashiq pe farishta maut ka badnam tha
wo hansi roke hue baiTha tha jis ka kaam tha
Manzar Lakhnavi
main tinke chunta phirta hun sayyaad tiliyan
tayyar ho raha hai qafas aashiyan ke sath
Manzar Lakhnavi
mangne par kya na dega taqat-e-sabr-o-sukun
jis ne be mange ata kar di pareshani mujhe
Manzar Lakhnavi
kuchh abr ko bhi zid hai 'manzar' meri tauba se
jab ahd kiya main ne ghanghor ghaTa chhai
Manzar Lakhnavi
kisi aankh mein nind aae to jaanun
mera qissa-e-gham kahani nahin hai
Manzar Lakhnavi
kis ka kucha hai aa gaya hun kahan
yan to kuchh nind aai jati hai
Manzar Lakhnavi
kijiye kyun murda armanon se chheD
sone walon ko to sone dijiye
Manzar Lakhnavi
khelna aag ke shoalon se kuchh aasan nahin
bas ye ek baat KHuda-dad hai parwane mein
Manzar Lakhnavi