daman-o-jeb-o-gareban ka nahin koi malal
gham ye hai dast-e-junun kal ke liye kaam nahin
Manzar Lakhnavi
aap ki yaad mein roun bhi na main raaton ko
hun to majbur magar itna bhi majbur nahin
Manzar Lakhnavi
chhiDi hai aaj mujh se aasman se
zara haT jaiyega darmiyan se
Manzar Lakhnavi
ura ho ishq ka sab kuchh samajh raha hun main
bana raha hai koi ban raha hun diwana
Manzar Lakhnavi
e-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne
subah se shama jala di tere saudai ne
Manzar Lakhnavi
ahki bahki nigah-e-naz KHuda KHair kare
husn mein ishq ke andaz KHuda KHair kare
Manzar Lakhnavi
apni biti na kahun teri kahani na kahun
phir maza kahe se paida karun afsane mein
Manzar Lakhnavi
ahl-e-mahshar dekh lun qatil ko to pahchan lun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhala sa nam tha
Manzar Lakhnavi
ahd-e-shabab-e-rafta kya ahd-e-pur-faza tha
jine ka bhi maza tha marne ka bhi maza tha
Manzar Lakhnavi