dariya ke talatum se to bach sakti hai kashti
kashti mein talatum ho to sahil na milega
from the storms of the seas the ship might well survive
but if the storm is in the ship, no shore can then arrive
Malikzada Manzoor Ahmad
chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai
jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai
Malikzada Manzoor Ahmad
e-chehragi ki bhiD mein gum hai mera wajud
main KHud ko DhunDhta hun mujhe KHad-o-KHal de
Malikzada Manzoor Ahmad
arz-e-talab par us ki chup se zahir hai inkar magar
shayad wo kuchh soch raha ho aisa bhi ho sakta hai
Malikzada Manzoor Ahmad
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
Malikzada Manzoor Ahmad