chand KHamosh ja raha tha kahin
hum ne bhi us se koi baat na ki
Mahmood Ayaz
daulat-e-gham bhi KHas-o-KHak-e-zaman mein gai
tum gae ho to mah o sal kahan Thahre hain
Mahmood Ayaz
jine walon se kaho koi tamanna DhunDen
hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai
Mahmood Ayaz
koi din aur gham-e-hijr mein shadan ho len
abhi kuchh din mein samajh jaenge duniya kya hai
Mahmood Ayaz
lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo
hosh wale ho to har baat ko samjha na karo
Mahmood Ayaz
masaf-e-zist mein wo ran paDa hai aaj ke din
na main tumhaari tamanna hun aur na tum mere
Mahmood Ayaz
sham-e-shab-tab ek raat jali
jalne wale tamam umr jale
Mahmood Ayaz
tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yar tujh se kahen
wo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamana hai
Mahmood Ayaz
wo mere sath hai sae ki tarah
dil ki zid hai ki nazar bhi aae
Mahmood Ayaz