اردو हिंदी
Din ko kar-e-daraaz-e-dahr raha | Shaahi Shayari
din ko kar-e-daraaz-e-dahr raha

Ghazal

Din ko kar-e-daraaz-e-dahr raha

Mahmood Ayaz

;

din ko kar-e-daraaz-e-dahr raha
raat KHwabon ki wadiyon mein kaTi

chand KHamosh ja raha tha kahin
hum ne bhi us se koi baat na ki

saat-e-did teri umr hi kya
abhi aai na thi ki bit gai

barg-e-awara se koi puchhe
bu-e-gul kis ki justuju mein gai

kis ka naghma hai dil ki dhaDkan mein
kis ki aawaz-e-pa sukut bani