اردو हिंदी
Lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo | Shaahi Shayari
lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo

Ghazal

Lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo

Mahmood Ayaz

;

lafz o manzar mein maani ko TaTola na karo
hosh wale ho to har baat ko samjha na karo

wo nahin hai na sahi tark-e-tamanna na karo
dil akela hai ise aur akela na karo

band aaankhon mein hain nadida zamane paida
khuli aaankhon hi se har chiz ko dekha na karo

din to hangama-e-hasti mein guzar jaega
subh tak sham ko afsana-dar-afsana karo