haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge
tujhe bhi hum ai gham-e-zamana ghazal ke sanche mein Dhaal denge
Kaleem Aajiz
idhar aa hum dikhate hain ghazal ka aaina tujh ko
ye kis ne kah diya gesu tere barham nahin pyare
Kaleem Aajiz
ek ghar bhi salamat nahin ab shahr-e-wafa mein
tu aag lagane ko kidhar jae hai pyare
Kaleem Aajiz
ishq mein maut ka nam hai zindagi
jis ko jina ho marna gawara kare
Kaleem Aajiz
kabhi aisa bhi howe hai rote rote
jigar tham kar muskurana paDe hai
Kaleem Aajiz
kal kahte rahe hain wahi kal kahte rahenge
har daur mein hum un pe ghazal kahte rahenge
Kaleem Aajiz
kare hai adawat bhi wo is ada se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
Kaleem Aajiz
KHamoshi mein har baat ban jae hai
jo bole hai diwana kahlae hai
Kaleem Aajiz
kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
Kaleem Aajiz