ye sitam ki mahfil-e-naz hai 'kalim' is ko aur sajae ja
wo dikhaen raqs-e-sitamgari tu ghazal ka saz bajae ja
Kaleem Aajiz
ye tarz-e-KHas hai koi kahan se laega
jo hum kahenge kisi se kaha na jaega
Kaleem Aajiz
ye waz-e-wafadari 'ajiz' na badal dena
wo zaKHm tujhe denge tum un ko ghazal dena
Kaleem Aajiz
zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi
Kaleem Aajiz
zara dekh aaina meri wafa ka
ki tu kaisa tha ab kaisa lage hai
Kaleem Aajiz
zindagi mail-e-fariyaad-o-fughan aaj bhi hai
kal bhi tha sine pe ek sang-e-giran aaj bhi hai
Kaleem Aajiz
ahut dushwar samjhana hai gham ka
samajh lene mein dushwari nahin hai
Kaleem Aajiz
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji KHush hai to kanTon pe bhi aaram bahut hai
Kaleem Aajiz
fan mein na moajaza na karamat chahiye
dil ko lage bas aisi koi baat chahiye
Kaleem Aajiz