suna hai hamein bewafa tum kaho ho
zara hum se aankhen mila lo to jaanen
Kaleem Aajiz
shikayat un se karna go musibat mol lena hai
magar 'ajiz' ghazal hum be-sunae dam nahin lenge
Kaleem Aajiz
akhna hai kahin panw to rakkho ho kahin panw
chalna zara aaya hai to itrae chalo ho
Kaleem Aajiz
na jaane ruTh ke baiTha hai dil ka chain kahan
mile to us ko hamara koi salam kahe
Kaleem Aajiz
meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan
wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan
Kaleem Aajiz
mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de
bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko KHuda na de
Kaleem Aajiz
meri ghazal ko meri jaan faqat ghazal na samajh
ek aaina hai jo har dam tere muqabil hai
Kaleem Aajiz
mausam-e-gul hamein jab yaad aaya
jitna gham bhule the sab yaad aaya
Kaleem Aajiz
marna to bahut sahal si ek baat lage hai
jina hi mohabbat mein karamat lage hai
Kaleem Aajiz