aat chahe be-saliqa ho 'kalim'
baat kahne ka saliqa chahiye
Kaleem Aajiz
apna lahu bhar kar logon ko banT gae paimane log
duniya bhar ko yaad rahenge hum jaise diwane log
Kaleem Aajiz
apna dil sina-e-ashaar mein rakh dete hain
kuchh haqiqat bhi zaruri hai fasane ke liye
Kaleem Aajiz
ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho
lage hai aag ek ghar mein to ham-saya hawa de hai
Kaleem Aajiz
aazmana hai to aa bazu o dil ki quwwat
tu bhi shamshir uTha hum bhi ghazal kahte hain
Kaleem Aajiz
'ajiz' ki hain ulTi baaten kaun use samjhae
dhup ko pagal kahe andhera din ko raat batae
Kaleem Aajiz
han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
Kaleem Aajiz
hum bhi kuchh apne dil ki girah kholne ko hain
kis kis ka aaj dekhiye band-e-qaba khule
Kaleem Aajiz
hamare qatl se qatil ko tajraba ye hua
lahu lahu bhi hai mehndi bhi hai sharab bhi hai
Kaleem Aajiz