mai-kasho muzhda ki baqi na rahi qaid-e-makan
aaj ek mauj baha le gai maiKHane ko
Jigar Moradabadi
marg-e-ashiq to kuchh nahin lekin
ek masiha-nafas ki baat gai
Jigar Moradabadi
masarrat zindagi ka dusra nam
masarrat ki tamanna mustaqil gham
Jigar Moradabadi
maut kya ek lafz-e-be-mani
jis ko mara hayat ne mara
Jigar Moradabadi
mere dard mein ye KHalish kahan mere soz mein ye tapish kahan
kisi aur hi ki pukar hai meri zindagi ki sada nahin
Jigar Moradabadi
meri barbaadiyan durust magar
tu bata kya tujhe sawab hua
Jigar Moradabadi
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tera shabab tera hi shabab hai
Jigar Moradabadi
meri hasti hai meri tarz-e-tamanna ai dost
KHud main fariyaad hun meri koi fariyaad nahin
Jigar Moradabadi
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
Jigar Moradabadi

