jin ke liye mar bhi gae hum
wo chal kar do gam na aae
Jigar Moradabadi
jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya
us dil mein ek chhupa hua nashtar zarur tha
Jigar Moradabadi
jise sayyaad ne kuchh gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha
chaman mein kitni mani-KHez thi ek KHamushi meri
Jigar Moradabadi
jo na samjhe naseho phir us ko samjhate ho kyun
sath diwane ke diwane bane jate ho kyun
why do you seek to moralize to those who do not comprehend
why with these lunatics do you become a lunatic my friend?
Jigar Moradabadi
jo tufanon mein palte ja rahe hain
wahi duniya badalte ja rahe hain
Jigar Moradabadi
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai
apni hi musibat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
junun-e-mohabbat yahan tak to pahuncha
ki tark-e-mohabbat kiya chahta hun
Jigar Moradabadi
kabhi shaKH o sabza o barg par kabhi ghuncha o gul o KHar par
main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasl-e-bahaar pa
Jigar Moradabadi
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin
Jigar Moradabadi